We’ve updated our Terms of Use to reflect our new entity name and address. You can review the changes here.
We’ve updated our Terms of Use. You can review the changes here.

600 Saal

by E Sharp

/
  • Streaming + Download

    Includes unlimited streaming via the free Bandcamp app, plus high-quality download in MP3, FLAC and more.
    Purchasable with gift card

      $8 USD  or more

     

1.
600 Saal 04:43
Jis ki talash mai aaya hoon mai idhar Kya us ko hai khabar kya pata Oonchay se ye minar, khirki jin pe hazaar Sar ko ghuma detay hain har dafah Pagal sa ye sheher, bhagdar hai chaaro peher Is mein mai dhoondon usko kahan? Basti insaano ki, chalti haiwaano ki Aatish mai kood kay hum gaatay hain yahan (Chorus) Chorh aaya hoon peechay apna haal Ye gham bhi tere liay he lia Teri talash mai beeay cheh sou saal Kya tujh ko hai ye bhi pata? Pichli ek zindagi mai chahta tha tum ko mai Par ye tum ko nahi tha pata Tum thi shehron ki raani Banti kaise kahani Mai toh ek aam aadmi tha Ek din hoa kuch aise, keh he dia ye tum se Kay mai hoon tera deewana Sab ne thukraya hum ko, seh na sake phir gham ko Aur yun taqdeer se mai ja kay phir lara Ab chorh aaya hoon peechay apna haal Ye gham bhi tere liay he lia Teri talash mai beeay cheh sou saal Kya tujh ko hai ye bhi pata?
2.
Baray ghanay us kay baal hain Roee jaise us kay gaal hain Ghabraya jo dekha pehli baar usay Abhi toh samjho shruaat hai Khayalo mai phir bhi hum saath hain Insan ko sochna bara chahiye (Chorus) Tum ko toh ye bhi na pata Kaisa azhaab hogaya Tum toh chalti phirti sazish ho Yehi sach hai kay janti hai wo mujh ko Khayalo mai bhi keh na paon jo us ko Kaise kahoon ga samnay jab hogi wo Magar itni bhi jaldi kya hai mujhe Agar likha hai paa loun ga mai tujhe Aanay laga hai maza ruknay mai (Chorus) Tumhe kya pata mai kitna tanha hogaya Jab se tum ne mujh ko na chuaa Mai kitna tanha hogaya
3.
Shabana 2 03:54
(Chorus) Shabana! Tum se hogaya mujh ko pyar Aur waise kab se tha mai beqarar Shabana mujh se poochti thi ye sawal Kay "aao gai, kab aao gai yahan?" Jab bhi milti thi mujh se toh kehti thi mujhe Haath mera thaam kay gun gunati thi ye Roz mujh se ye kehti thi Kay "Ab hum bichrein toh na milien gai, kab aao gai yahan?" (Chorus) Dhoondon usay mai ab jahan Koi na milta hai nishan Jaise khoya ho koi kitaab se safah Aur agar tum mil jao ek akhri dafah Nahi janay doon ga tumhe mai is dafah (Chorus)
4.
Superman 03:17
Mere paisay saray tullay le gaye Mobile mera ghunday le gaye Din bhar jo mehnat se kamaya tha Ab sau rupay kay khullay reh gaye Mere bachay dus nahi baara hain Meri biwi ne mujhe maara hai Kehtay hain mujh ko aam aadmi mai Par mai dekho nikla Superman Mai nahi Super Superman Meri zindagi kay toh lag gaye Mere dost saaray moun pe hag gaye Udhaar jo maanga kisi se Log haath mai dou suttay rakh gaye Maine bill bhi saray bharnay hain Maine bachay aur bhi karnay hain Kehtay hain mujh ko aam aadmi Par mai saala nikla Superman Mai nahi super Superman Doston! Ye urhnay urhanay ki baatein jo aap se kari gaye hain Wo toh aap sab ko chutia bananay kay liye kahi gaye hain Insan urh nahi sakta Na wo chimkadar ki tarhan raaton ko ghoom sakta hai (I'm Batman) Wo toh zyada se zyada tullon se bach kay Murree pe kay thora jhoom sakta hai Hum sab hain superman, hum saray superman Hum sab he superman, sab mil kay superman Superman Bachpan se yehi seekha kay har larki hai apni behen Superman
5.
Gehri Baat 05:05
Socha na tha Phir bhi yahan kab se agaye yahan Itni bheer mai Itni manzilon ko thukraya hai hum ne yahan Kya ye ittefaq hai? Ya ye koi gehri baat hai yahan? Na kabhi kia, na abhi kia koi kaam hum ne soch kay Jo bhi aaya, usay apnaya Na shikwa kia kisi se Kya ye ittefaq hai? Ya ye koi gehri baat hai yahan? Adhori hai abhi ye dastaan Sab kuch hai abhi rawan dawan
6.
Chorh Diya 04:05
Chorh dia sehna ye gham judai ka Jab se hai ye pata Kay na aao ge yahan kabhi meri duniya mai Mai toh kab se tha tere he intezaar mai Par ab toh hai ye pata Kay na aao ge yahan kabhi meri duniya mai Mere paas kya nahi Sab kuch toh hai bus ek tu he toh nahi Aur waise bhi sab bulatay hain hum ko ajnabi yahan Aur kehtay hain kay mil na paayein gai hum phir kabhi yahan Mai toh kab se tga tere he intezaar mai Par ab toh hai ye pata Kay na aao ge yahan kabhi meri duniya mai
7.
Saj Raha Hai 04:33
Saj raha hai tera ye ghar Saj rahi hai ek dulhan Hum toh akelay he reh gaye Hum toh adhooray he reh gaye Saj raha hai tera ye ghar Saj rahe hai ek dulhan Haatho mai mehndiyan hain Har taraf pheli hoi khushiyan hain Ya toh humein tum bhool gaye Ya hum tere liye mar gaye Saj raha hai tera ye ghar Saj rahe hai ek dulhan Sajan sajan mere Mil gaye khushiyan tujhe Muskurati rahe muskurati rahe Itni haseen hai wo, kitni haseen hai wo Aaya re qismat wala, hai bara qismat wala
8.
Hasad ka manzar waisa he tha jaise chorh kay soya Aur qatl o gharat gari bhi waise he rahi Badla chehra Insaniyat abhi bhi bardasht kar rahi hai insan ko Jo fail e bad toh khud he karay aur lanat de shaitan ko (Chorus) Cheh sau saal guzray par na badla insan Meri neend se barh kay aalam e ghashi hai yahan Ab phirta hoon bazaro mai Log bolein wo suna hoa lage Aur jaib mai thay sikkay jo Un ki qeemat ka bhi hai pata unhein Ab ro rahe hain bhookay saray Un kay oopar wohi seth humare In aankhon ne kuch bhi toh alag na dekha (Chorus)
9.
Waqt kay mutabiq abhi hum jawan nahi hoay hain Toh phir kaise ye aarzu hai dil main Ye aarzu hai dil main Ek dum se duniya jo badli hai Aur phir tab se ye aarzu hai dil main Ye aarzu hai dil main Waqt kay mutabiq abhi hum wahan nahi gaye hain Toh phir kaise ye aarzu hai dil main Ye aarzu hai dil main Ek dum se duniya jo badli hai Aur phir tab se ye aarzu hai dil main Ye aarzu hai dil main
10.
Subah uthi jab Sameen Badal chuki thi zindagi Kehti thi wo jisko baap Ban chuka tha wo haiwaan Kaise maango ge tum insaf Sharam se tera he sar jhuka hai Kehtay hain lao chaar insaan Cheekh rahi hai doh mujh ko insaf College kay rastay mai jab Amna ko loota logon ne Darandigi ki ek nayi misaal hoi hai sarzameen e Pak Adaalat kay darwazon par miltay hain bus mayoosi kay roug Insaf kay thekaydaaron ne na insafi ko naya rung dia Nahi jeena hai mujh ko pak logon ki is zameen par Maar daalo ab mujh ko par logon ki sarzameen par Paanch logon ka ye faisla hai Khulay aam izzat loot loh Ibteda hai ye naye khel ki Cheen loh zindagi Mehreen ki Jurm ban gaya insaf Hogayi hai ye zameen na pak Mar gayi hai hiss insan ki Maashray ne akhri saans li Nahi jeena hai mujh ko
11.
Is nafrat ki duniya mai hum ne dekhay hain Najanay kitnay gham par ye aankhein hoi na abhi bhi num Kyun kay ab toh dard nahi hota In aankhon kay aagay najanay kitnay log mar gaye Insan he toh hain hum jo insano se yoon dar gaye Aur hum na hilay Ab toh dard nahi hota, koi hamdard nahi hota Koi hamdard nahi hota (Chorus) Phir se chalay hain kaat khanay ko Doosron ka haq dabanay ko Insaniyat ko duur bhaganay ko Ashraf ul makhlooqat Jo mitti ka ghar banaya paani mai beh gaya Insaniyat ka qissa toh kahaniyon mai reh gaya Aur doobay sabhi Koi fikr nahi karta Bus doosron ko kaat khanay ki fikr mai rehtay hain Aur aanay wali naslon ko hum waqian ye kehtay hain Kay "Chorho sab hi" Koi fikr nahi karta Dosti aur pyar ka koi zikr nahi karta (Chorus)

credits

released May 11, 2017

license

all rights reserved

tags

about

E Sharp Karachi, Pakistan

contact / help

Contact E Sharp

Streaming and
Download help

Report this album or account

If you like E Sharp, you may also like: